Wednesday, August 9, 2017

GHAZAL


GHAZAL

Jhoot pe jhoot sach lage bhai.
Khota sikka bahaut chale bhai.
Jaan ka khauf , maal o zar ka dar.
Kaun munh khole, sach kahe bhai.
Wo haiN nasli munafarat ke naqeeb.
Kaun nazi magar kahe bhai.
Apne chashme se dekhte itihaas.
Wo twareekh badal rahe Bhai.
Mook darshak bane rahe jab log.
Hausle unke tab badhe bhai.
" Chhodo Hindustan" ke   dauraaN.
Wo hukumat parast the bhai.
Waqt har cheez ka muqarrar hai.

Chadhta suraj bhi hai dhale bhai.
Aaj khatre meiN hai ye aazaadi.
Fikr meiN ''Tishna'' pad gaye bhai.

Kalaam : Masood Baig Tishna

No comments:

Post a Comment