Sunday, August 13, 2017

JASHN E AZADI 2017




JASHN E AZADI 2017

Ajeeb silsila hai ye kaii dinoN se aaj tak.
GharoN ki dehriyoN se , chilmanoN se , raj kaj tak.
Ye dhund ki , fizaoN ki, ye sargoshi hawaoN ki.
Ye siskiyaN gali gali, ye aahateiN duaaoN ki.
kahiN bhi duur duur tak nahiN hai saaf raasta.
Koi kisi se kiya kahe, hai kis ko kis se waasta.
Bas ek baat saaf hai, hai raah meiN ghutan bahaut.
Hai cheekhti hawaoN meiN khilaaf e rukh tapan bahaut.
Bhala ho raaj kaaj ka jahaaN na kuchh tameez hai.
Magar khushi manayenge ye din hameiN aziz hai.
GuloN ki anjuman ka din, lahu ke baaNkpan ka din.
Phir aa gaya dabe qadam azadi e watan ka din.
....................................
GuloN ki anjuman ka din, lahu ke baaNkpan ka din.
.........................................
Kalaam : Masood Baig Tishna Burhanpuri

جشنِ آزادی 2017

عجیب سلسلہ ہے یہ کئی دنوں سے آج تک۔
گھروں کی دہریوں سے،چلمنوں سے،راج کاج تک۔
یہ دھند کی ،فضاؤں کی،یہ سرگوشی ہواؤں کی۔
یہ سسکیاں گلی گلی،یہ آہٹیں دعاؤں کی۔
کہیں بهی دور دور تک نہیں ہے صاف راستہ۔
کوئی کسی سے کیا کہے،ہے كس کو کس سے واسطہ۔
بس ایک بات صاف ہے،ہے راہ میں گھٹن بہت۔
ہے چیختی ہواؤں میں خلافِ رُخ تپن بہت۔
بھلا ہو راج کاج کا جہاں نہ کچھ تمیز ہے۔
مگر خوشی منائیں گے یہ دن ہمیں عزیز ہے۔
گلوں کی انجمن کا دن،لہُو کے بانکپن کا دن۔
پھر آ گیا دبے قدم آزادئ وطن کا دن۔
۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
گلوں کی انجمن کا دن،لہُو کے بانکپن کا دن۔

کلام: مسعود بیگ تشنہ برہان پوری،اندور،انڈیا

Friday, August 11, 2017

Ek Sher

BRD Medical College, Gorakhpur (U.P.) meiN 30 maasoom bachhoN ki maut par...

GaflatoN ki neend ne  bachchoN ko mar jane diya.
Maut ke munh  meiN  dhakela , jaan  se  jaane  diya.
(Masood Baig Tishna)

बी आर डी मेदिकल कालेज ,गोरखपुर ,यू .पी .में 30 मासुम बच्छों की मौत पर .....

गफलतों की नींद ने बच्चों को मर जाने दिया .
मौत के मुंह में धकेला , जान से जाने दिया .
(मसूद बेग तिशना )

Wednesday, August 9, 2017

GHAZAL


GHAZAL

Jhoot pe jhoot sach lage bhai.
Khota sikka bahaut chale bhai.
Jaan ka khauf , maal o zar ka dar.
Kaun munh khole, sach kahe bhai.
Wo haiN nasli munafarat ke naqeeb.
Kaun nazi magar kahe bhai.
Apne chashme se dekhte itihaas.
Wo twareekh badal rahe Bhai.
Mook darshak bane rahe jab log.
Hausle unke tab badhe bhai.
" Chhodo Hindustan" ke   dauraaN.
Wo hukumat parast the bhai.
Waqt har cheez ka muqarrar hai.

Chadhta suraj bhi hai dhale bhai.
Aaj khatre meiN hai ye aazaadi.
Fikr meiN ''Tishna'' pad gaye bhai.

Kalaam : Masood Baig Tishna

Sunday, August 6, 2017

GHAZAL

# Gazal #
Dosti ki misaal ban jao.
Waqt e mushkil meiN dhaal ban jao.
Uski nazr e Karam ke sadqe meiN.
Tum saraapa sawaal ban jao.
Aks e maazi na Kal ka aa'iina.
Haal meiN mast haal ban jao.
Apne bachpan meiN laut kar dekho.
Baal bachchoN meiN baal ban jao.
Jaanib e sharq o gharb mat dekho.
Khood junuub o shumaal ban jao.
Be hunar be kamaal se " Tishna".
Ba hunar ba Kamaal ban jao.
Shair : Masood Baig Tishna

Friday, July 14, 2017

QITA


Ban gaya nafrat ka Adda ijtema'ii laa sh'uur.
KhooN khrabaa, bam dhamaka ijtema'ii laa sh'uur.
Kufr ki shaitaN giri, imaan meiN pakka khalal.
Aql ka fuqdaan o faaqa ijtema'ii laa sh'uur.

Kalaam : Masood Baig Tishna

Thursday, July 6, 2017

QIT'A






Chota manjhla baith gaya dhandha , lekin apna haakim mast.
Kheti kisani ,phaaNsi phanda , lekin apna haakim mast.
Sair sapata , ata sata , mauj mazey meiN Tata Bata.
Sar pe fasaadi , khauf meiN banda , lekin  apna haakim mast.

Masood Baig Tishna

06 July 2017 Indore , India

Tuesday, July 4, 2017

GHAZAL 17 Jan 1978

GHAZAL

Waqt ki Bhaari tahoN ke neeche dab ja'unga maiN.
Ya saraapa abr ban kar Waqt par chha'unga maiN.
Ek khushboo ki tarah ehsaas meiN bas paoge.
Dekhna ek din yuNhi tehleel ho ja'uNga maiN.
Har tamanna ka qadam badhta tha kitne shauq se.
Kia pata tha thokroN par thokreiN kha'unga meiN.
Log jeene ke liye karte haiN kia kia koshisheiN.
Is qadar jeeta rahuNga maiN ke mar ja'uNga maiN.
DuuriyaaN itni badha uNga ke huuN nazdeek tar.
FasloN ko qurbatoN ke darmiyaaN la uNga maiN.
Fasla dar fasla haiN qurbateiN hi qurbateiN.
Pass jab huNga bahaut to  fasla pa'uNga maiN.
Aaiina dar aaiina be dekhe hai mujh ki mera shauq.
MaiN huuN gar raaz e nihaaN to dekh khul ja'uNga maiN.
Zindagi ne yuuN hi rakkha fasla to dekhna.
Zindagi ko zindagi bhar khoob tad pa'uNga maiN.
Kis qadar afzooN haiN " Tishna " shauq ki kilkaariyaaN.
Shauq ka aalam yehi paya to mar ja'uNga maiN.
Kalaam : Masood Baig Tishna , Indore ( India)
Tareekh kalaam : 17 Jan 1978.