Friday, July 14, 2017

QITA


Ban gaya nafrat ka Adda ijtema'ii laa sh'uur.
KhooN khrabaa, bam dhamaka ijtema'ii laa sh'uur.
Kufr ki shaitaN giri, imaan meiN pakka khalal.
Aql ka fuqdaan o faaqa ijtema'ii laa sh'uur.

Kalaam : Masood Baig Tishna

Thursday, July 6, 2017

QIT'A






Chota manjhla baith gaya dhandha , lekin apna haakim mast.
Kheti kisani ,phaaNsi phanda , lekin apna haakim mast.
Sair sapata , ata sata , mauj mazey meiN Tata Bata.
Sar pe fasaadi , khauf meiN banda , lekin  apna haakim mast.

Masood Baig Tishna

06 July 2017 Indore , India

Tuesday, July 4, 2017

GHAZAL 17 Jan 1978

GHAZAL

Waqt ki Bhaari tahoN ke neeche dab ja'unga maiN.
Ya saraapa abr ban kar Waqt par chha'unga maiN.
Ek khushboo ki tarah ehsaas meiN bas paoge.
Dekhna ek din yuNhi tehleel ho ja'uNga maiN.
Har tamanna ka qadam badhta tha kitne shauq se.
Kia pata tha thokroN par thokreiN kha'unga meiN.
Log jeene ke liye karte haiN kia kia koshisheiN.
Is qadar jeeta rahuNga maiN ke mar ja'uNga maiN.
DuuriyaaN itni badha uNga ke huuN nazdeek tar.
FasloN ko qurbatoN ke darmiyaaN la uNga maiN.
Fasla dar fasla haiN qurbateiN hi qurbateiN.
Pass jab huNga bahaut to  fasla pa'uNga maiN.
Aaiina dar aaiina be dekhe hai mujh ki mera shauq.
MaiN huuN gar raaz e nihaaN to dekh khul ja'uNga maiN.
Zindagi ne yuuN hi rakkha fasla to dekhna.
Zindagi ko zindagi bhar khoob tad pa'uNga maiN.
Kis qadar afzooN haiN " Tishna " shauq ki kilkaariyaaN.
Shauq ka aalam yehi paya to mar ja'uNga maiN.
Kalaam : Masood Baig Tishna , Indore ( India)
Tareekh kalaam : 17 Jan 1978.